Tuesday, 22 March 2016

Koi Deewana Kehta Hai - Dr. Kumar Vishwas (Full Poem with new 2016 add-ons Lines)

Photo Source : Facebook

Many of my Friends told me to post full poem (Koi Deewana Kahta hai) with new Add-Ons. So I posted it here , Please Read and Share with your Freinds.


Koi deewana kehta hai koi pagal samjhta hai…
magar dharti ki bechaini ko bas badal samjhta hain…
Main tujhse dur kaisa hu, tu mujhse dur kaisi hai…
Yeh tera dil samjhta hai, ya mera dil samjhta hai…

Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hai…
kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hai…
Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain…
Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain…

Samandar peer ke andar hain lekin ro nahi sakta…
Yeh aansu pyaar ke moti hain isko kho nahi sakta…
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le…
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta…

Bhraman koi kumudni par machal baitha toh hungama…
Jo apne dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama…
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka…
Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama…


Additional -

 
Mai jab bhi tez chalta hu, nazare chhoot jaate hain...
Koi jo roop dharta hu, to saanche toot jaate hain...
Mai rota hu to aakar log kandha thap-thapate hain...
Main hasta hu to musjhse log aksar rooth jaate hain...


New Addon..:


Mera apna tajurba hai, tumhe batla raha hu mai...
Koi lab chhu gaya tha tab, ke ab tak gaa raha hu mai...
Bichad kar tumse ab kaise jiya jaye bina tadpe...
Jo mai khud hi nahi samjha wahi samjha raha hu mai...

Kisi pathar mei moorat hai, koi pathar ki moorat hai...
Lo hum ne dekh li duniya, jo itni khubsurat hai...
Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai...
Tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai...


New Lines by Dr. Vishwas at Teerthankar Mahaveer University - Moradabad:

Bahut Bikhra Bahut Toota, Thapede Seh Nahi Paaya...
Hawaaon Ke Ishaaron Par, Magar Main Beh Nahi Paaya...
Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa...
Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya...

Main Uska Hun, Wo Is Ehsaas Se inkaar Karta Hai...
Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Har Baar Karta Hai...
Yakin Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Humse Woh Lekin...
Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai...

Saji Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain...
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain...
Hanseeno Ki Adaaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain...
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayyaar Bethe Hain...