Access the best famous poetry by famous poets. These top, popular, and famous poems are the best examples of poems written by well-known poets
Sunday, 27 March 2011
Wo hame na kabhi samjh sake
Wo hame na kabhi samjh sake,
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !
Saath dene me wo aise katra rahe,
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !
Ab to ham tera sath chhod hain rahe,
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !
Haseen yaadon ko na sanjo ke tu rahe,
Meri yaandon ka saya teri palko pe na rahe!
Written by: Maya Manzil
Wednesday, 9 March 2011
Tuesday, 8 March 2011
Itne Saare Dard, Aur Ek Insaan,Kis Liye
Ek Ek Kadam Pe Itne Imtihaan Kis Liye
Itne Saare Dard, Aur Ek Insaan,Kis Liye.
Sab Ke Andar Achha Bura Dono Mojood Hain
Aksar Jeet Jaata Hai Shaitaan Kis Liye
Mera Nahin Hai Sab Kuchh, Hai Tera Diya Hua
Ho Jaata Hai Phir Kisi Ko Gumaan Kis Liye
Manga Tha Payar Me Zindgi Tum Se,
Per Diya Tune Payar Me Maut Kis Liye
Monday, 7 March 2011
Mohabbat Tere Anjam Se Rona Aaya
A Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,
Yu to her sham umid me guzar jati hain.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.
Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.
Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Kisi Ko Meri MAUT Se Khushi Mil Jaaye
Kitaabon Ke Pannon Ko Palat Ke Sochta Hoon,
Yun Palat Jaaye Meri Zindagi to Kyaa Baat Ho
Khwaabon Mein Jo Roz-roz Milti Hai
Haqeekat Me Mil Jaaye, to Kya Baat Ho
Matlab Ke Liye to Sab Dhoondte Hain Mujhko
Bin Matlab Ke Jo Paas Aaye Koi...to Kya Baat Ho
katal Karke to Sab Le Jaayenge Dil Mera
Koi Baaton Se Le Jaaye to Kya Baat Ho
Zinda Rehne Tak Khushi Doonga Sabko
Kisi Ko Meri MAUT Se Khushi Mil Jaaye...to Kya Baat Ho !
Tuesday, 1 March 2011
Subscribe to:
Posts (Atom)