Sunday, 4 September 2011

Khuda ne jab ishq banaya hoga




Khuda ne jab ishq banaya hoga
to khud bhi zaroor ajmaya hoga
Hamari to aukaat hi kya hai
Is ishq ne khuda ko bhi zaroor rulaya hoga

Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili



Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyar Krne Ki Kya Khub Saza mili

Monday, 1 August 2011

Meri Zindgi Ek Kahani Hai



Her Zakhm Kisi Thokar Ki Meharbani Hai,
Meri Zindgi Ek Kahani Hai,
Mita Dete Sanam Tere Dard Ko Sine Se,
Per Ye Dard Hin To Teri Aakhri Nishani Hai.

Sunday, 31 July 2011

Her Yaad Per Dil Ka Dard Taja Hua



Her Mulaqat Per Waqt Ka Takaza Hua,
Her Yaad Per Dil Ka Dard Taja Hua,
Suni Thi Sirf Ghazalo Me Judai Ki Baaten,
Jab Khud Per Biti To Haqiqat Ka Andaza Hua..

Friday, 29 April 2011

Toote Huye Dil Ka Murbba Bna Gai



Toote Huye Dil Ka Murbba Bna Gai
Ghar Ko Mere Kchre Ka Dabba Bna Gai,
Nikah Ke 3 Mhine Bhi Na Gujre The,
Na Jane Kis Hisab Se Wo Mujhe Abba Bna Gai

Wednesday, 20 April 2011

Yaaden Aksar


Yaaden akasar sirf yaaden rah jati hain,
Apne beech safar me saath chhod jate hain,
 Kisi ko kya dos de ham hee bahak jate hain,
Tanha hokar bhi ham bas unme kho jate hain,

Na jaane kis waqt kis more pe khade ho jate hain,
Gairo ko apna aur apno ko gair samjhtae hain !

Bechen aankho pe bas haseen sapne sajate hain,
Bas ab to ham yaadon ke sahare hi jeete hain !

Written by: Maya Manzil


Friday, 1 April 2011

Kyo Payar Kr Ke Bhul Jaate Hai Log



Kyo Payar Kr Ke Bhul Jaate Hai Log,
Bhich Maihphil Me Akshar Chhor Jaate Hai Log.
Na Nibhana Tha Saath Jab Umar Bhr Ka.
Kyo Daga Deke Dusro Ko Bewafa Kah Jate Hai Log.

Sunday, 27 March 2011

Kyun Tut jata hain aaina


Kyun Tut jata hain aaina surat teri dekhkar,
sarma jati hain chandni nazare teri dekhkar,
Tu ek pal ke liye muskura ke to dekh idhar,
Tere chahane walon ki bheed hain is kadar !

Written by:Maya Manzil

Ek halki si hawan ne


Ek halki si hawan ne mujhe is kadar chhuaa,
Na jane kayon laga jaise ki mujhe kuch huaa,
Palko pe bane sapno ka saya kaise door huaa,
Socha tha jise apna wo iss kadar door huaa !

Written by: Maya Manzil

Wo hame na kabhi samjh sake


Wo hame na kabhi samjh sake,
Mere hi lanzon ko apna sa kahe !

Saath dene me wo aise katra rahe,
mangi thi khusiya gam diye ja rahe !

Ab to ham tera sath chhod hain rahe,
Bas ek hi hain dyua tu jaha bhi rahe !

Haseen yaadon ko na sanjo ke tu rahe,
Meri yaandon ka saya teri palko pe na rahe!

Written by: Maya Manzil

Wednesday, 9 March 2011

Likhte Likhte O Khwab Yaad Aa Gaye?



Aaj N Jane Q Ankho Me Ansu Aa Gayi?
 Likhte Likhte O Khwab Yaad Aa Gayi?
Kabhi Thi Milne Ki Tamanna  Apse...
Na Jane Q ,Ansuo Me Aapki Tasveer Ban Gayi.

Mohtaj Hai Aapki Ek Didar Ke Liye



Sau Bewafai Kabul Hai Ek Wafa k Liye,
Sau Ansu Kabul Hai Ek Hansi k Liye,
Hum To Mohtaj Hai Aapki Ek Didar Ke Liye,
Sau Dushman Kabul Hai Aapki  Payar Ke Liye !!

Zehar Pee k Dawa Se Darte Hai



Gunah Karke Saza Se Darte Hai
Zehar Pee k Dawa Se Darte Hai
Dushmano k Sitam Ka Khauff Nahi
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain,

Tuesday, 8 March 2011

Dost Na Mila Gam Bhulaane Ke Liye


Kafi Hai Sapne Dil Ko Behlaane Ke Liye,
Mohabbat Karlo Dil Ko Dukhane Ke Liye,
Chahe Bhale Rakhna Pada Gam Se Baasta
Ek Dost Na Mila Gam Bhulaane Ke Liye !

Itne Saare Dard, Aur Ek Insaan,Kis Liye

 
Ek Ek Kadam Pe Itne Imtihaan Kis Liye
Itne Saare Dard, Aur Ek Insaan,Kis Liye.
Sab Ke Andar Achha Bura Dono Mojood Hain
Aksar Jeet Jaata Hai Shaitaan Kis Liye
Mera Nahin Hai Sab Kuchh, Hai Tera Diya Hua
Ho Jaata Hai Phir Kisi Ko Gumaan Kis Liye
Manga Tha Payar Me Zindgi Tum Se,
 Per Diya Tune Payar Me Maut Kis Liye

Monday, 7 March 2011

Mohabbat Tere Anjam Se Rona Aaya



A Mohabbat tere anjam se rona aaya.
Jane kyun aaj tere naam se rona aya,
Yu to her sham umid me guzar jati hain.
Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.
Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.
Jab hua zamane me mohabat ka zikr.
Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya

Kisi Ko Meri MAUT Se Khushi Mil Jaaye




Kitaabon Ke Pannon Ko Palat Ke Sochta Hoon,

Yun Palat Jaaye Meri Zindagi to Kyaa Baat Ho
Khwaabon Mein Jo Roz-roz Milti Hai
Haqeekat Me Mil Jaaye, to Kya Baat Ho
Matlab Ke Liye to Sab Dhoondte Hain Mujhko
Bin Matlab Ke Jo Paas Aaye Koi...to Kya Baat Ho
katal Karke to Sab Le Jaayenge Dil Mera
Koi Baaton Se Le Jaaye to Kya Baat Ho
Zinda Rehne Tak Khushi Doonga Sabko
Kisi Ko Meri MAUT Se Khushi Mil Jaaye...to Kya Baat Ho !

Monday, 7 February 2011

Apko Chahne Wala Sara Jahan Nikla !


Maine Socha Aapko Chane Wala Sirf Main Hu,
Apko Chahne Wala Sara Jahan Nikla,
Socha Khuda Se Iski Sikayat Kru,
Per Khuda Bhi Aapko Chahne Wala Nikla !


Saturday, 5 February 2011

Aag Uglte Hain Tere Shahar Ke Log


Kaise Aaun Tere Shahar Ki Ore,
Aag Uglte Hain Tere Shahar Ke Log,
Mai to Toota Ek Saak Ka Patta Hu,
Phool Tak Kuchlte Hai Tere Ghar Ke Log.