Friday, 29 October 2010

Chot Khaya Kiye Muskuraya Kiye !


Dard Jab Jab In Aakho Me Aaya Kiye,
Ask Tab Tab In Aakho Me Aaya Kiye,
Ho Na Jaye Mulakat Phir Kisi Raah Me,
Es Liye Un Se Najre Churaya Kiye,
Payar Ke Naam Pe Jo Bhi Kha Tumne,
Use Ghazalo Me Apni Sjaya Kiye,
Aaj Sonu Ko Aakhir Ye Ho Kya Gaiya,
Chot Khaya Kiye Muskuraya Kiye.

Payar Krne Ki Kya Khub Saza mili


Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Hume Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Saccha Payar Krne Ki Kya Khub Saza mili.

Sonu Apni Mohabbat Dhundhta Hai


Kabhi To Kaam Yaar Ab Jab Eahshas Aa Jaye,
Wo Jo Jalim Hai Meri Gitu Ghabra Ke Khud-W- Khud Mere Paas Aa Jaye,
Sonu Apni Mohabbat Dhundhta Hai Zarre Zarre Me,
Tammna Hai Ki Meri Jaan Mere Paas Aa Jaye.

Chand Ko Tasveer Bna Ke Roya !


Kabhi Dil To Kabhi Samma Jla Ke Roya,
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Ke Roya,
Raat Ki Aagosh Me Jab So Gai Sari Duniya,
Ya Sanam Chand Ko Teri Tasveer Bna Ke Roya.!

Tuesday, 26 October 2010

Aakh Se Na Roya Gaya !



Dil tut kar yesa hua ki aakh se na roya gaya,
Zakhm khuchh yese the ki nind to aayi,
Per raat me soya na gaya.

Wo Ruthe Es Kadar !!



Wo ruthe es kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya !

Hamne Bhi Kabhi Pyaar Kiya Tha !



Hamne bhi kabhi pyaar kiya tha,
Thoda nahi beshumar kiya tha,
Badal gayi jindagi tab hmari,
Jab usne kaha arey pagal maine to mazak kiya tha.

Ek Pal Bhi Jiya Nahi Jata !




Payar kamjor dil se kiya nahi jata,
Zeher Dushman se kabhi liya nahi jata,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
us dilruba ke bina ek pal bhi jiya nahi jata.

Dard ki khuli kitab !



Khusiyo se naraj hai meri zinddgi,
Payar ka mohtaj hai meri zinddgi,
Has lete hai duniya ko dikhane ke liye,
warna dard ki ek khuli kitab hai meri zinddgi.

Monday, 25 October 2010

Hamse Mat Poocho !


Hamse mat poocho ki kyun aankhen jhuka li maine
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
uspe likha tha ki teri mahobbat mere muqaddar me nahi
yahi soch kar apne maathe ki woh lakreer mita li meine.

Raat bhar Ro Na Sake !



Bikhre Armaano Ke Moti Hum Piro Na Sake
Tere Yaad Mein saari Raat Hum So Na Sake,
Bheeg Na Jaye Ansuon Mein Tasveer Teri
Bass Yehi Soch Kar Hum Raat bhar Ro Na Sake.

Kafan Ki Khamooshi



Kafan ki khamooshi ko samsan kya jane,
Mahkte huye chaman ko viran kya jane,
Kyo barsti hai ye badnaseeb aasu,
En aasuoo ki kimat registan kya jane.

Wednesday, 13 October 2010

Aankho me aanshu ki kaonsi



Aankho me aanshu ki kaonsi ye jhil hain,
Zindagi ki tanhai ki koansi ye manzil hain !

Mera ye safar meri nazaro se aojhal hain,
Chalkati dhoop hi meri raah ka aachal hain !

Andheri raat me sitaron sebhara gagan hain,
Khilate aur mahkate phoolon ka chaman hain !

Zindagi ka daman khushiyon se anjaan hain,
Zindagi ke safar me musafir hi ek pahchan hain !

Aaj ek nai  moar pe meri Zindagi ki dansta hain,
Ab to bas  A- Zindagi mera tujhse hi wasnta hain !

Written by: Maya Manzil


Kabhi Lagta Hain

Kabhi lagta hain thaki si hain ye Zindagi,
Waqt bewaqt rukh badalti hainye Zindagi,

Ek pal khawabao ko sajati hain ye Zindagi,
Duje pal chakna coor kar deti hain ye Zindagi,

Har pal kuch naya shikhati hain ye Zindagi,
Dil yahi kahta hain Aakhir kya hain ye Zindagi,
Har Harmusafir ki raah me manzil hoti hain Zindagi,
Har kadam sambhalkar chale ko kahti hain ye Zindagi

Ek anjani si aahat dastak deti hain kya Zindagi 
Kya isi ka naam hain Ye Zindagi !

Written by: Maya Manzil

Sunday, 10 October 2010

Yaun Kab Tak Tum

Yaun Kab kak tum khushi ko
 kaha kaha talasho ge,
Kabhi is dile a nadan se
kab tak puchhoge,
Raat ke gulak me khawaboo
ke sikke honge,
Chand dolat se kya palko pe
Khawab bun loge,
Kayanat A khushi se kya kahoge,
gam me khushi dhoondoge !

Written by: Maya Manzil

Kisi Ke Dayare Me


Kisi ke dayare me rahkar ham
khush nahi hote,
Shabdo se Ghazal likhkar ham
gayak nahi hote,
Is kalam ko dil se lagate ham
Dil se wahi likhte,
Aaj yaha tak hain pahunche ham
jawab A Ghazal hain Likhte !

Written by: Maya Manzil

Friday, 8 October 2010

Kiya Hain Jise Pyar hamne



Kiya hai jise pyar hamne
Zindagi ki tara,
Woh aashiyana bhi mila hame

Ajnabi ki tarha,
Bas ek talash hain ab hame,
tamnna ki tarha,
Jo saath de mera har moar pe
bas jamane ki tarh,
Palko pe wo khawab sagenge
Aaine me tasveer ki tarha,
Ek ghazal ham aisi likh de
Gunje Tarane ki tarha !

Written by: Maya Manzil

Kuch Meethi Kuch Khatti Teri Yaaden

Kuch meethi kuch khatti teri yaaden hain,
Tere saath bitaye palo ki wo sogaten hain,
Bura na mano ham palko pe unko sajaten hain,
Jab aankh khule to teri tasveer samne paaten hain,
Band aankho me bas tera hi khawab sajaten hain,
Teri har aahat ko ham is kadar dil se lagaten hain,
Bas yahi kahna hain ki aap bahut yaad aaten hain !


Written by:  Maya Manzil
http://shayarimanzil.blogspot.com