Tuesday, 16 March 2010

Meri Nazaro ke Samne


Meri nazaro ke samne Koi hai,
jo hamesa muskurati rahti hai !

Jiske haotho pe hasi khilati hai,
Akasar hamse jhagadte rahti hai !

Ruthane pe wo hame manati hai,
Kya kahe khilate gulab ki kali hai !

Jise dekh sabka dil khush hota hai
Aankhe khule to chehra samne hota hai !

Use dekh sab kuch ham bhool jate hai,
Uske saath ham bhi khilkhilate rahte hai !

Jo dekhe to kahe ek hasin khawab hai,
Kya kahe wo is duniya se kuch alag hai !

Written By: Maya Manzil

Monday, 15 March 2010

Ham Ye Jan Kar



Ham Ye Jan kar aappe fakar karate hai,
Safar me ham bhi aapke saath chalte hai,
Jaha Tak nazare jaati hai waha chalte hai,
Sagar ki har kasti ko bhi to kinare milate hai,
Manzil pe chalne walo ko mukam milte hai !

Written By : Maya Manzil

Sunday, 14 March 2010

Waqt Ke Saath



waqt ke saat ham bhi likhte chale,
socha ki do kadam aapke saath chale!

Kya pata tha ki ham bheed me hai akele,
Kya kya or karne kya ab ham hai chale!

Na khabar hai,na pata kidhar ham badhe,
Jisne hame kaha or usi rukh mud chale!

Ye safar ham itana door paar kar chale,
Ab loatne ki ummid ham hai chhod chuke!

Ummid chhuti hai hosale ko saath le chale,
Ye waqt hi aisa hai, jise ham saath le chale !

Ab aa gya hai waqt ,us waqt ko ham batake chale,
Meri manzil thi door,or waqt ko saath ham le chale !

Kya kahe ye aisa waqt hai,kab saath chhod chale,
Ab Na jaane ye waqt, jo kab kis ke saath ho chale !

Written By : Maya Manzil


Friday, 12 March 2010

Ye Dil To

Ye dil to ek sagar hain,
Jo sabko sama leta hain !

ye kabhi bharta nahi hain,
Na ye kabhi sukhta hain !

Dard ka ye dariya hain,
aankh ka ye aansu hain !

mahsus karna tumhe hain,
Use samjhna tumhe hain !

ye kabhi bharta nahi hain,
Na ye bhulaya jata hain !

************************************

Written by : Maya Manzil

Thursday, 11 March 2010

Har Kadam Pe


Har Kadam Pe Thokar wohi nahi hoti,
Dosti me sab dost ek Jaise nahi hote,
Ye Nazaro ki ek nazar ka hi fark hota,
Paancho ungaliya kabhi barabar nahi hoti !

Written by: Maya Manzil

Wednesday, 10 March 2010

Koi Bata Ke Kahe


Align CenterKoi bata ke kahe , Koi jata ke kahe,
kuch kahne wale samne aa ke kahe!

Ye zindigi jeene ka maja tabhi hain,
Zindigi ko apnakar sabko ab ye kahe!

Berang zindagi me rang bhar to sahi,
Ek amanat hain ye,tujhe aisa sab kahe !

Written by : Maya Manzil

Tuesday, 9 March 2010

Mana Hame Jo



Mana hame jo di aapne nseeht hame

Wada hai ki armano ko pura ham kare,
Aankhari saas tak unka sahara ham bane,
Unki Beti hone ka farz ham bhi ada kare !


Written by: Maya Manzil

Monday, 8 March 2010

Dil Ka Araman

Dil Ka Araman Paas Aake Dekho,
Do Kadam Manzil Pe Chalke Dekho !

Hamse Haath Se Haath Milke Dekho,
Dil Ke Taar Ke Sargam Ko Dekho !

Anjaani Raaho Me Chalake To Dekho,
Manzil Ki Ghazal Ko Padhke To Dekho !

Uske Har Shabad Ko Samjh Ke To Dekho,
Manzil Ke Safar Me Aap Chalake to Dekho !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, 6 March 2010

Maa Shabad



Maa Shabad me hi ek pyara sa ehsaas hota hai,
Door hai to kya, wo nazaro ke paas hota hai,
Har dard me nikale wo shabad Maa hota hai,
Nikale aansu to unki kami ka ehsaas hota hai,
Humari har chubhan unhe mehsus hoti hai,
Unke aanchal ki chayya aaj bhi yaad aati hai!


Written by : Maya Manzil





Thursday, 4 March 2010

MAA


Har kisi ko MAA ki yaad aati hai
Un yaado me aankhe bhar aati hai ,
Door hokar dard ka ahsaas dilati hai,
Paas hokar meri MAA gale se lagati hai,
Kon kahta hai, MAA kise yaad nahi aati hai,
Har pal me uski hi har fariyad nazar aati hai,
A Dosto hame bhi apani MAA yaad aati hai !


Written by : Maya Manzil

Wednesday, 3 March 2010

Na Jaane Humne




Na jane hamne konsa Gunah kar diya,
Aangan ke phool ko nikal bahar kar diya!

Unki aankho ko ab hamne nam kar diya,
Kya socha or na jane hamne kya kar diya!

Kisi ki zindagi me hame kya moad la diya,
Na jane ye gam ka sagar kaha se aa gaya !

Yaad karte the hame,na jane ksise bhula diya,
Hamne dena chaha kuch,na jaane kya de diya !

Pyari si gudiya se unhone mauh moad liya,
Aankho ke tare to unhone nazaro se hata diya !

Karte hai wada ab lotadenge unki sari khusiya,
Thi amanat aapki, aapke hawale hamne kar diya !

� Written by : Maya Manzil

Tuesday, 2 March 2010

Zindagi Me Kamyabi.....


Zindagi me kamyabi pana jaruri hai,
badhte kadmo to rokna jaruri hai !

Mile jaha Manzil waha thahrna jaruri hai ,
Raah me kanto ki chubhan jaruri hai !

Sabse kadam milakar chalna jaruri hai,
Waqt aaye to jawab dena jaruri hai !

Jo kah diya use pura karna jaruri hai,
Main na rahu par tera rahna jaruri hai !

Waqt pe kalam ko talwar bana jaruri hai,
Manzil na mile par safar tay karna jaruri hai !

Written By: Maya Manzil

Monday, 1 March 2010

Aaj Shubha Jab....



Aaj subhah jab darwaja maine khola,
Ek Ajnabi sab rango me ranga mila,
Uske haatho me tha rango ka thela,
khulte hi usne rang se mujhko rang dala,
Bola Happy Holi or bas dhum macha dala !

*************************************
Ek rang ne rang ko rangna chaha,
Ek dost ne uske sang khelna chaha,
Is holi pe har rang ne rangana chaha,
aapko holi mubarak ho yahi kahan chaha !

**************************************

Ek rang to duje rang pe dalo,
Holi pe is dost ko gale se lagalo,
Rango me rango ko tum milalo,
Fir tum is holi pe dhum machalo !

***********************************

Written by: Maya Manzil