Sunday, 28 February 2010

Ek Rang Ho....


Ek rang ho ya do rang
Aaj charo traf hai rang,
Sab hai ek duje ke sang,
Holi khele ab tere sang !

*************************

�Written by:Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, 27 February 2010

Zindagi Se Na Jaane



Zindagi se na jaane kyu anjan hai,
Har Raste ki apani ek nai manzil hai !

Manzil ke safar me sab mehman hai,
Aaj yaha na jaane wo kal kaha hai !

Pahuchne ka tumhe ab intazar hai,
Ab na tu is baat se bekhabar hai !

Malum hua ki ye Zindagi ek doad hai,
Har Kadam pe ek naya moad hai !

A musafir ye aage ko hi jata hai,
Mudkar ke na dekh ye safar aisa hai !

Ek yahi hai jo sabki Manzil tak jata hai,
Jaan lo ye aap sabki Manzil ka safar hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Dil Karta Hai



Friday, 26 February 2010

Lakho Dost Banana


lakho dost banana koi badi baat nahin,


Yu hamse milana koi mulakat nahin,

Ye Zindagi kisi jannat se kam nahin,

Ye safar kisi hamsafar se kam nahin !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Thursday, 25 February 2010

Masumiyat



Masumiyat to chahare pe jhalakti hai,
Muskan to hamesa hotho pe khilati hai,
Tu kudrat ka wo baiskimati tofa hai,
Is Shayar ke paas itane hi shabad hai !

*******************************

Written by:Maya Manzil
maya.manjil@gmai.com

Wednesday, 24 February 2010

Ye Apni Manzil....


Ye apani manzil ka hai raasta,
Ab sab se mera ek yahi wasta !

Koi to milega hame bhi farista,
Us tak pahuchne ka koi raasta !

Kisi aarju ko dil me hai basana,
Badhte kadam hame chale jana !

Ab moad ka intazar hai karte,
Us mukam ko hasil hai karte !

Zindagi ki har reet hai nibhate,
Shukh dukh me saath hai rahte !

Kaanto me phool ko mahsus karte,
Gam me khushi ka ahsaas karte !

Sabke arama pure ho safar ke chalte,
Manzil ke musafir ko salam hai karte !

Written By: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Apani Manzil Ke Safar...


Apani Manzil ke safar me akele ham hai,

Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !

Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !

Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !

Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhat ham hai !


Maya Manzil
maya.manzil@gmail.com

Pyas to Ek Boond Se


Pyas to ek Boond se bhujai ja sakti hai,
Chingari to ek angari se jalai ja sakti hai,
Shikhna to ek thokar se shikha ja sakta hai,
Naummid to ummid me badla ja satka hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Tuesday, 23 February 2010

Udan Ke Liye


Udan ke liye Gagan Me bhadte kadam hai,

Mere Geet ke liye tere thirakte sargam hai ,
Jab Kabhi dil ghabraye to kya gam hai,
Ham tere sath hamesa hai ye kya kam hai !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Monday, 22 February 2010

Ek Pal Ki Doori.....


Ek pal ki doori hai meri kuch majboori hai,

A samajh dost tujhse milna bhi jaroori hai,
Mere is kalam ki ab ye baat adhoori hai,
Aap jann lo ki meri ye kaisi majboori hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com


Dil Ka Araman Paas Aake Dekho

Dil Ka Araman Paas Aake Dekho,
Do Kadam Manzil Pe Chalke Dekho !

Hamse Haath Se Haath Milke Dekho,
Dil Ke Taar Ke Sargam Ko Dekho !

Anjaani Raaho Me Chalake To Dekho,
Manzil Ki Ghazal Ko Padhke To Dekho !

Uske Har Shabad Ko Samjh Ke To Dekho,
Manzil Ke Safar Me Aap Chalake to Dekho !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Mera naam jo sabki juba pe hai....

Mera naam jo sabki juba pe hai,
Ham hai waha jaha sab rahte hai !

Shayari likhna hi mera kaam hai,
Dard ko gharai se maine padha hai!

Ab aapka sawal pura hua hai,
Manzil ne aapko salam kiya hai !

***********************************

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Sunday, 21 February 2010

Apani Manzil ke safer me........

Apani Manzil ke safar me akele ham hai,
Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !

Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !

Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !

Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhat ham hai !

Do shabado me shayari ko likhate ham hai,
Ek Shayar ke safar me hamsafar ham hai !


Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, 20 February 2010

Dost Ek Khawab


Dost ek khawab nahi ek ahsaas hota hai,

Unki har baat ka hame andaz hota hai,
Manzil me musafir ka hisab nahi hota hai,
Ye to aap sabki manzil ka safar hota hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Friday, 19 February 2010

Manzil Me Ek

Mnazil me ek musafir hi kafi hai,
Zindagi me ek ummid hi kafi hai !

Aaj me kal ka gujarna hi kafi hai,
Din me suraj ka nikalna hi kafi hai !
Align Center
Raat me juganu ka chamakna kafi hai,
Gam me ek khushi ka aana hi kafi hai !

Dharti pe baris ki ek boond hi kafi hai,
Baag me koyal ki ek gunj hi kafi hai !

Teri yaad ke liye ek mulakat kafi hai,
Sapne ke liye ek nind ka jhoka kafi hai !

Aaiine ko teri ek jhalak mile wo hi kafi hai,
Ek Shayar ke liye shayari shabad hi kafi hai !

Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Apani Manzil Ke Safar ................



Thursday, 18 February 2010

Ek Raah Chalate..


Ek raah chalate musafir ne salam kiya hame,
Na jane kis kadar raah me badnam kiya hame!

Is salam ne ye jano kya naam diya hame,
Apane un haatho se ek pagam diya hame!

Yaad aaye hamari ek aawaz dena hame,
Fir aankhe kholana aur pana samne hame!

Hame to aajmaya aur wada pura kiya unhone,
Ab wo hame musafir na hokar apne lagne lage!

Kya kahe kaise unka salam jo le liya hamne,
Ab wo kuch aur jayada yaad aane lage hame!

Nazare us raah pe jis pe salam kiya hame,
A musafir ab tu loat aa yaad aane lagi hame!

Dil se pukara or raah pe wo nazar aaye hame,
Sach hai aapka ye salam yaad rahega ab hame!

Written by: Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wednesday, 17 February 2010

Kisi Ka Ek Sawal

Kisi Ka Ek Sawal Hai,
Manzil Kaise Likhhti ho?

Use Pas Kya Iska Jawab Hai,
Manzil Se ab kya Puchhte ho?

Aapka ye koi sawal nahi Hai,
Wo kya Uski Kalam Likhhti Hai !

Uske Dil Me Ek raaj Hota Hai,
Kalam duniya ke Raaj khholti hai !

Malum Huaa Manzil ki kalam kya hai,
Safar me wo sabko saath lekar chalti hai !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Saturday, 13 February 2010

Aaj Kisi Ka Dil


Aaj kisi ka dil kuch kahne ko hai,

Na jaane hamse kyu chhupate hai !

Wo jaanke bhi anjaan banate hai,
Kyu wo hame ab yu satate hai !

Chahate huaye bhi chhupate hai,
Un nazare me sab ham padh lete hai !

Na jaane wo kyu ab saramate hai,
Saamne aakar nazare jhuka lete hai!

Ham unki aankho me sab dekh lete hai,
Is liye wo nazare churakar chalate hai !

Na jaane wo kyu hamse door rahte hai,
Unke karib jao to wo ghabra jate hai !

Nazuk si kali chhune pe murjha jati hai,
Kya kahe unhe kahne se ham darte hai !

Dil kahta hai aaj Izahar ham kar dete hai,
Ham sirf or sirf tumse hi pyar karte hai !

Manzil aaj sabko apana ye pagam deti hai,
Dil ki baat aaj tum use kah do to accha hai !

Pyaar karne walo ka aaj ye dil kahta hai,
Valentine Day ko dil ki baat kahan accha hai !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com




Friday, 12 February 2010

Na Dekhenge Raah


Na dekhenge raah tumhari lotane ki,
Kosis karenge ab tumhe bhoolne ki,
Na ummid karenge tumse ab kisi ki,
Himmat karenge Manzil pe chalne ki !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

A Ajnabi Tum Aise Na

A ajnabi tum aise na dekha karo,
Manzil ki shayari to padha karo !

Pyar karo to meri shayari se karo,
Manzil se nahi uski kalam se karo !

Jo likha hain usne aap samja karo,
A duniya mujhe ab na aajmaya karo !

Manzil ka hai koi musafir jaan liya karo,
Chalana hai uske saath maan liya karo !

Safar me koi karta hai intazar mana karo,
Uski nigahe dekhti hai raah jane diya karo !

yaad me aansu aaye to poochhne diya karo,
Khushi na sahi par hame gam bhi na diya karo

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Thursday, 11 February 2010

Dil kehta hai

Dil kehta hai ki zindagi ki kahani likhon,
Wo kahani main sach ki Zubani likhon,
Aapne Jazbaat ko mai samunder likhon,
Kabhi gum ko aankho se bahta hua paani likhon,
usske manane ko uss ki mohabbat likhon,
aapne rooth jane ko apni nadani likhon,
aapni jaan ko usski amant likhon,
ya uss k naam apni ye puri zindgaani likhon.......

A Mere Dost


A mere dost do kadam mere saath chal,
meri manzil hain door waha tak le chal !


Dena hamesa tum mera saath har pal,
Khhuli aankho ke sapne pure kar chal !

Tham le ab mera haath aage badh chal,
Sab reeti riwazo to tu pura karta chal !

Bahake kadam to hosla badhata chal,

meri ummid to ummid se milata tu chal !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Dil Kahata Hain


Dil kehta hai zindagi ki kahani likhon,
Wo kahani main sach ki Zubani likhon!

Aapne jazbaat ko main samunder likhon,
Gum ko aankho se bahta hua paani likhon !

Usske manane ko usski mohabbat likhon,
Aapne rooth jaane ko apni nadaani likhon!

Sapna Wo Jo


Sapna
wo jo apni hi aankh se dekha jaye,

Anpna wo jo har Kadam pe saath deta jaye,
Ummid wo jo garo se nahi khud se hi ki jaye,
Musafir wo jo apni hi manzil pe chalata jaye!


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ek Pal Ke


Ek Pal
ke liye laga koi apna hain,

waqt unke paas apno ke liye hain,
Ham to garo ki ginti me rahte hain,
Ye galti ki use apna samjh baithe hain !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wo aise Hain


Wo aise hain wada karke bhool jate hain,

Jab yaad unhe dilaye to hame datate hain,
Ab socha hain ki ham hi bhool jate hain,
Kya yaad kare unhe jo anjan ban jate hain !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Wednesday, 10 February 2010

Kya Kare


Kya kare hame moat aati nahi,

Kalam likhne par rukti nahi,
Ham aapko kuch kahte nahi,
Bas yahi ki ham khudgarj nahi !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Ham Kya The


Ham kya kahe kya the aur kya ho gaye,
Karane kya chale the aur kya kar gaye!

Pana kya tha na jane kya ham paa gaye,
Kabhi na socha tha aur wo ham kar gaye!

Kisi ke sapno ko na jane kaise bikhair gaye,
Ham haal puchhne na gaye kaise ban gaye!

Wo manzil ki raah me aaye aur ham na gaye,
Wo manzil se lotkar yu bagar mile chale gaye !

Ham unhe chahate huai bhi rokne na gaye,
In aankho se aansu ko ham roak na paaye !

Ab intazar hain ki wo kab jald loat aaye,
Ab bas hame bhi apne saath wo le jaaye !


Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com





Tuesday, 9 February 2010

Ham Wo Hain Jo


Ham wo hain jo kabhi mayus nahi hote,
Dard hote huaye bhi mahsus nahi karte!

Aage badhne ka hosla ham hain rakhte,
Jugnu kitarah hamesaham hain chamkte!

Ek ankaha sa sapna ab ham hain bunate,
Use Pura karne ki chahat ham hain rakhte!

Phool ki kali ki tarah ham bhi hain khilte,
Raat me sitaro ki tarah ham hain chamakte!

Zindagi me mili thokar ko kuch nahi samajhte,
Ham wo hain iet ka jawab pathar se hain dete !

Ye is Manzil ka hain dastoor tumhe hain batate,
Ab to us Raahi ka hain kasoor kyo hain wo aate !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com



Is Manzil Ko


Is Manzil ko safar me hain chalte jana,

Ab to mujhe mukam ko hasil karte jana,
Aaj nahi to kal manzil ka hain meel jana,
Har musfir ko ab yaad karte hi hain jana !

Maya Manzil
maya.manjil@gmail.com

Monday, 8 February 2010

Aapko Dil Se


Aapko Dil Se Kabhi Juda Hone Nahin Denge,

Aapko Nind Bhi Aaye To Sone Nahin Denge,
Aapki Muskaan Hume Itni Pyari Hai Ki,
Hum Mar Bhi Gaye To Bhi Aapko "RONE" Nahin Denge....


Har Mod Par


Har Mod Par Mukaam Nahin Hota,

Dil ke Rishton ka Koi Naam Nahin Hota,
Rooh Ki Roshni Se Hamne Khoja Hai Aapko ,
Aap Jaisa Dost Milna Itna Aasan Nahi Hota....!!